Hawa...!
Hawa....!
Tum janti ho sab
Ke mein ne raat ke pichle pehar
chupke se sari dastaan tum ko sunaye thi
Tumhien to yaad hi ho ga
Tabhi...
Jab ashk meri baat ke raste mein hayal the
Tabhi...
Jab lafz mere durd ki shidat se ghayal the
Meri sochien
Jab uski chaap ke peechay gaien thien to
Hawa tum ne hi mera bheegta pallo sukhaya tha
Hawa tum sun rahi thien na ke jab us ne kaha tha
Muntazar rehna mein Aoon ga
Hawa... Tum to gawa ho ke tan se ab talak
in rastoon se
Meri ankhoon ke diye bhujnay nahi paye
Hawa tum to usi ke rastoon se ho ke aye ho
Hawa....!
Wo aa raha tha na?
Hawa....!
No comments:
Post a Comment